Bhagwan Mein Dhyan Kaise Lagaye: Man Ko Shant Aur Ishwar Se Jodne Ke Saral Trike
Bhagwan mein dhyan kaise lagaye? Jaane mann ko shant karne , stress se mukti paane aur ishwar se gehra sambhand banane ke saral aur prabhavi tarike.
Preeti swami
1/4/20264 min read
Bhagwan mein dhyan kaise lagayen
Bhagwan mein dhayn lagane ke liye shant environment ka hona jaruri hai .Aaj ke time mein log bhot busy hai, har samaye mein mann chinta or pareshaniyon se ghira rehta hai , isiliye bhagwan m dhyan lagana mushkil hota hai, lekin impossible nhi hota .
chalo phir is article mein jante hai ki bhagwan mein dhyan kaise lagaya jata hai.
Bhagwan mein apna dhyan kaise den
1.Mantra jap
Kisi vishesh mantra ya naam ka jap karna hi hum bhagwan se jode rakhta hai , naam jap mein ek alg shaki hoti hai jo hamare mann ho shant karti hai.
2.Smaran(Naam smaran)
Naam smaran karna bhi bhagwan se judne ka ek rasta hai. Hume ek naam utha lena hai usey mann hi mann m jap karna hai
3.Dhayn (Meditation)
Shanti mein baith kar Bhagwan ke roop ki kalpana karna , bhagwan se mann lagana.
4.Kirtan or bhajan karna
Sangeet ke madhyam se bhakti vyakt karna . sabke saath ya akele mein gaana, jaise "Hare Raam Hare krishna "
5.Pooja or Aarti karna
Daily bhagwan ki pooja karna or deep jala kar Aarti karna.
6.Bhagwan ke pavitra granthon ka padhna
Geeta , Guru granth padh par bhagwan ko mann mein basa sakte hai.
7.Seva
Dusro ne seva karna bhi bhagwan ka dhyan hi hai , jaise
Dusro ko khana khilana, garibo ki help karna,old people ke seva karna etc.
Hume kaise pata chalega ki bhawan hamare saath hai.
Jab hum geer kar bhi sambhal gaye , toot kar bhi kade ho gaye, Andhera hone ke baad bhi rosni ki umeed hai , jab hamare mann mein dusro ke parti daya ki bhawana hai , or hume kisi baat ka na koi dar hot ana koi chinta to samjh lena hamare upar bhagwan ka haath hai.
Dhyan karte samay humen kya sochna chahiye ?
Shuru mein apna dhyan sirf saans par rakhe , agar aapka dhyan bhatak jaaye to pyar se apna dhyan phir se saanso par laaye .
Aap mann mein ek bhawana rakh kar dhyan lagaye ki main "shaant hu , Main surakhsit hoon."
Acha samay aane se pahle bhagwan kaun sa sandesh dete hain
Jab hamara bura samay chal raha hota hai to, hum apni pareshani mein itna uljha jaate hai ki bhagwan ke sanketon ko samjh nhi pate.
Jab koi accha samay aane wala hota hai to aapke aas pass ye 7 baate hone lagti hai
kaam mein mann nhi lagta
jab hamara mann kisi bhi kaam mein nhi lagta to hume samjh jaane chahiye ki aacha samay aana wala hai.
(गाय) ka ghar bahar aana
jab aake ghar ke bahar darwaje par gaaye aa jaye to aapko samjh jana chahiye ki aapke liye kuch acha shuru hone wala hai.
Sapne Mein Bhagwan ka Aana
Agar aapke apne m Aarti ya bhagwan ke darsan hue hai to smajh jana ki apka acha samaye shuru hone wala hai.
(पक्षी) ka sir par baithna
Apke sir par koi pakshi aakar baith jata hai to aapke upar se koi bada sankat tala hai.
Ullu ki aawaj sunai dena
Agar aapke spane mein koi koyal ya ullu ki aawaj sunai de rahi hai to samjh jana ki mein aa rahi rukawat door hone wali hai
kachua dikhai dena
Apke samne se yadi koi pakshi gujar jata hai, ya koi kachua dikhayi deta hai to
smajh jana kuch acha hone wala hai.
Bhawan ki or jukao
Jab aapke dhyan bhagwan m lagne lage or aapko bhagwan guru aadi par bhrosha ho jaye to smajh jana aapki llife mein kuch change hone wala hai.
Bhagwan Hamari kab sunte hai
Jab hum sacche mann , puri Aastha se aur niswarth bhav se prayer karte hai , bina kisi sandeh ke wah aapke har vichaar aur pukar ko sunte hai.wah sab kuch nhi dete jo aap mangte ho balki wah dete hai aapke liye hitkari hai.
Bhagwan ke sunne ke sanket kya hai
saccha bhav aur (निष्ठा)
Jab aapki prayer mein saccha bhav or (निष्ठा)ho , bhagwan ke liye saccha prem ho tab bhagwan aapki sunte hi hai.
vishwas (No doubt)
Apne mann mein koi sandhe na rakhe , poora bharosha kare , jaise ek baccha apni maa par karta hai.
Shaant mann or एकांत
एकांत mein shaant mann se ki gyi prayer parmatma tak jaati hai , mann ka sital hona bhi ek sandesh hai.
Ye baat yaad rakhe ki bhagwan hamesha hamare saath hote hai chhahe hum unki pukar sune ya na sune.
Dhyan Se Jeevan Mein Aane Wale Badlav
Man ki Shanti- Bhagwan mein dhyan lagane se mann shant ho jata hai.
dhyan lagane se hamare mann mein koi chinta , dukh nhi rahta.
Hamare saare rog ka nivaran hi bhagwan mein dhyan lagana hai,
Aaj ke Yuvaon ke liye Dhyan ka Mahatva
Stress se mukti - Dhyan lagane se stress kafi kam ho jata hai or ye aaj kal ke yuvaon ke liye bhot jaruri hai.
Sahi disha or focus - Bhagwan mein dhyan lagane se hamara dikhne ka nazariya bhi bahal jata hai,or mann shant ho jata hai,or hamara ek kaam par focus aaram se lag jata hai.
Final Thought
Bhagwan mein dhyan lagana koi kathin kaam nhi, balki ek pyaari aur shant yatra hai. Jab hum roz thoda sa samay apne man ko bhagwan ko dete hai, to dheere - dheere man ki ashanti door hone lagti hai .Dhyan hume stress se mukti deta hhai p, sahi disha dikhta hai, Yaad rakhe bhagwan tak pahunchne ka raste bahar nhi, balki hamare apne mann ke andar se hokar jaata hai.
21FAQs
Q1. Kya bhagwan mein dhyan lagana sabke liye mumkin hai?
Haan, bhagwan mein dhyan lagana har vyakti ke liye mumkin hai. Iske liye koi vishesh yogyaata nahi chahiye, sirf shraddha aur niyamit abhyas zaroori hai.
Q2. Dhyan karte samay man baar-baar bhatke to kya karein?
Man ka bhatakna swabhavik hai. Man ko zabardasti rokne ke bajay, use pyaar se wapas bhagwan ke naam, saans ya roop par le aayein.
Q3. Dhyan karne ka sabse sahi samay kaunsa hota hai?
Subah brahm-muhurat ya raat sone se pehle ka samay dhyan ke liye uttam mana jata hai, jab vatavaran shaant hota hai.
Q4. Kya bina murti ya tasveer ke bhi bhagwan mein dhyan lagaya ja sakta hai?
Bilkul. Aap bhagwan ke naam, prakash, ya unki upasthiti ka bhav lekar bhi dhyan kar sakte hain.
Q5. Roz kitni der dhyan karna chahiye?
Shuruat mein 5–10 minute ka dhyan kaafi hota hai. Dheere-dheere ise 15–30 minute tak badhaya ja sakta hai.